03/08/2021
Ek aadmi ne apne bete se waseeyat karte hue kahaa -
"Beta, mere marne ke baad mere pair mein ye phate hue socks (mozey) pehna dena.
Meri yeh khwaahish zaroor poori karna...
Baap ke marte hee gusal dekar bete ne Aalim se baap ki khwaahish batayi...
Aalim ne kahaa hamare deen mein sirf kafn pehnaane ki ijaazat hai.
Par bete ki zid thi ki bap ki aakhri khwaahish poori ho... Jiske liye shehar ke ulema jamaa hue..
lekin koi nateeja nahin nikla.
Takraar badh gayi....
Is maahaul mein ek shaqs aaya aur bete ke haath mein baap ka khat diya... jis mein baap ki waseeyat likhi thi....
"Mere pyare bete,..
Dekh rahe ho ..??
Kaseer maal wa daulat bangla gadi factory aur farmhouse hone ke baad bhi main ek phata hua mozaa tak nahi le ja sakta....
Ek roz tumhein bhi maut aayegi.
Aagah ho jao tumhein bhi ek kafn mein jaana padega.
Lehaaza koshish karna daulat ka sahi istemal karna..
nek raah mein kharch karna...
Be-sahaaron ka sahaara ban-na....
Kyonki Qabr mein sirf tumhare Aamal hee jayenge...